Also Read

1 Mobile Me 2 Whatsapp Kaise Chalaye

Dosto aaj me bataunga ki ek mobile phone me 2 Whatsapp Account kaise use kare in hindi.

Monday, 16 January 2017

Free Blog Kaise Banaye

Free website or blog kaise Banate hai ?
 Aaj mai aapko isi ke bare me batane ja raha hu website banana koi kadhin kam nahi hai magar jin dosto ko iski jaankari nahi hai unke liye website ya blog banana bahut mushkil kaam hai.
chalo aaj hum aapko website ya blog banana sikhate hai.
Aap abhi mujhe follow kar ke mere sath website bana sakte hai.

Website (Blog)  Kyo Banani chahiye?
Agar aap chahate ho ki sari duniya aapko pahchane to internet par aapki website hona bahut jaruri hai.

mai aapko yaha par kuch most bate bta raha hu jaise,

1. agar aap online business karna chahate ho

2. internet se online paisa kamana chahate ho.

3. aap apni jankari duniya ke sath share karna chahate ho.

To Ek Blog Jaroor Banaye

Website (Blog) Banane ke liye kya kya chahiye?

website banane ke liye aapko jyada kuch nahi chahiye aapko bas do chijo ki jarurat hai.

1. Gmail Account
2. Computer
agar aapke pas computer nahi hai to koi baat nahi aap mobile se bhi blog ya website bana sakte ho.

 bas aapka mobile internet support karta ho.
 Website Banane Ke Liye Kin Kin Cheezo Ki Jarurat Padti Hai


sabse pahle www.blogger.com
par jaye or  apni email id se log in kare.

agar aapke pas email id nahi hai to pahle apni email id bana le.

New Blog banane ke liye New Blog par click kare.

Ab ek naya page khulega isme aapko apne blog ka title, blog ka address (url) or uska template select karna hai.




1. yaha aapko apne blog ka naam likhna hai!

2. isme aapko apne blog ka url dalna hai. mal lo aapke blog ka naam suraj hai to aapke blog ka url hoga surajking.blogspot.com agar ye valid na ho to koi dusra naam rakh le. jaise suraj2016.blogspot.com, ravikingskn.blogspot.com

(Note:- hum wo address nahi likh sakte jo pahle se kisi ne le rakha ho. isliye blog address aysa hona chahiye jo pahle se kisi ka nahi ho. blog addrerss me aap 123 ya koi or shabd jod skate hai. agar aap fir bhi ye nahi kar pate ho to niche comment me apno problem likhe. aapki jald madad ki jayegi)

3. Apne blog ke liye koi ek template select kare. agar aapko inme se template pasand na aaye to aap apni man pasansd ki template apne blog par laga sakte ho.


4. Ab Create Blog par click kare.

•••••••••••Finley Done••••••••••••
Kaisi Hai Ye Post Comment Kare......

No comments: