Also Read

1 Mobile Me 2 Whatsapp Kaise Chalaye

Dosto aaj me bataunga ki ek mobile phone me 2 Whatsapp Account kaise use kare in hindi.

Sunday 15 January 2017

Damage Memory Card(chip)Ko Repair Kaise Karen.....

Koi Mobile phone,computer ya koi bhi multimedia device ho usme sd card or pendrive ki jarurat toh padti hi hai.

Kyu ki iske bina ham external storage ko badha nahi sakte.




Maine dekha hai ki 75 % logo ka memory card pura ek saal bhi nai chalta hai.
Kuch na kuch problems aati hai or fir bigad jata hai.
Memory card ko bahut sambhal ke rakhna padta hai agar is choti si device me koi problem aa jati hai toh yeh blank ho jata hai.

Memory card or pendrive ke kharab hone ke bahot se karan ho sakte hai jaise ki,Kisi file me virus ki vajah se,Overflow ki vajah se,memory card ko baar baar bahar nikal ne ki vajah se ya or kuch bhi ho sakta hai.
Ab kuch log kya karte hai ki memory card bimaar hota hai toh usse mara (dead) hua samajh kar fek dete hai.
Par hamare paas ek solution hai jisse aap ghar baithe hi apne damaged memory card ko repair kar sakte hai.


1 phone me 2 Whatsapp kaise chalaye

NOTE : Mere paas koi bhi damaged memory card available nahi tha isliye mai screeshot se aapko is tutorial ke bare me nahi samjha sakta lekin pareshaan honi ki koi zarurat nahi hai kyu ki sabhi steps simple hi hai.

Step 1 ••Sab se pehle apne corrept memory card ya pendrive ko computer se jode.Fir Apne Computer me Command Prompt ko open kare.
Step 2 •• Ab sab se niche jo file hai uske aage diskpart like or Enter dabaye.
Ab kuch files khulegi vaha bhi aapko fir se sab se last wale aero (>) ke aage list disk likhna hai or enter karna hai.

Step 3 ••Ab aapko kuch disks show hogi jisme se disk 0 computer ki hard disk hoti hai or disk 1 Memory card ki storage disk hoti hai...


fb-id-kaise-banate-hain

Ab disk 1 me sab se last me select disk 1 type kare.

Ab agar aapka memory card thik hone layak hoga matlab availble hoga toh uska message show hoga agar nahi hoga toh invalid likha aayega.

Ab vahi process se clean
likhe or enter kare fir disk clean ka message show hoga.

Ab fir se niche Creat Partition Primary type kare or enter dabaye.Fir Active
type kare.

Ab fir se last me select partition 1 type kar ke enter dabaye.

Ab aap apni sd disk ko format kar sakte hai uske liye type kare format fs=fat32 or enter button par click kare.

Ab aapke memory card ya pendrive ki formating start ho jayegi.
Format hone tak aapko 20-30 minute tak wait karna hoga.

Jab process 100% complete ho jaye tab aap command prompt se bahar aa jaiye.Or dekhe ki ab aapka memory kard format ho chuka hoga.

Aapke memory card me agar or bhi koi problems hai toh aap mujhe bata sakte hai

No comments: