Also Read

1 Mobile Me 2 Whatsapp Kaise Chalaye

Dosto aaj me bataunga ki ek mobile phone me 2 Whatsapp Account kaise use kare in hindi.

Tuesday 10 January 2017

1 Mobile Me 2 Whatsapp Kaise Chalaye

Dosto aaj me bataunga ki ek mobile phone me 2 Whatsapp Account kaise use kare in hindi.



Aaj kal bahut sare log 2 whatsapp account ki trick ka use kar rahe hai but wo sahi tarah se work nahi kar pati or na usme sabhi feature ka istemaal kar sakte hai.
Aaj 90% log smart phone me Whatsapp ID banakar use karte hai.
 Par hum apne mobile par ek hi whatsapp Account ko use kar sakte hai.
Me apko is post me ek hi android phone me 2 whtasapp chalane ke alag alag tarike bata raha hu.


In this post apko 2whatsapp account chalane ka tarika me jo method hai usme aap kai tarah se account use kar sakte hai.

1. Agar apka phone dual sim wala hai or usme 2 sim use karte hai to 2 no number se ek hi phone me 2 alag alag whatsapp account bana sakte hai.

2. Aap 1 hi number se 2 different whatsapp account banaya ja sakta hai.

3. Aap chahe to 2 se jayda Multiple Whatsapp Account banakar use kar sakte hai.

Yah aap par depend karta hai ki apne mobile par 2 whatsapp kaise chalate hai, 2no sim ke numbro ka use karke ya ek hi number se 2 account banakar. iske liye internet par bahut sare tarike available hai.
Par jo jankari me bata raha hu yah bahut simple hai. kisi bhi mobile me 2 whatsapp use karne ka best or 100% working tricks hai.

One Mobile Phone Me Dual Whatsapp Account Use Karne Ke FeatureLast Seen hide ki suvidha

•Blue Tick, Second Tick hide ho sakta hai
Typing…. hide kar sakte hai
•Without date or time Message copy kar sakte hai
•Badi se badi Files ko small karke send kar sakte hai
•Whatsapp ka Look apni pasand se badal sakte hai.
•Whats App Latest Features time to time Updated honge

Mobile phone me 2 whatsapp install karne ki trick ke liye apke phone me internet data hona jaruri hai.
Kiyu ki hume 2 whatsapp account banana hai or usko verify karana hoga.
Niche bataye gaye sabhi steps ache se samajh kar follow kare.

Mobile phone me 2 whatsapp install karne ki trick ke liye apke phone me...

Internet data hona jaruri hai. Kiyu ki hume 2 whatsapp account banana hai or usko verify karana hoga.

2 Whatsapp chalane ke software or App install karna hoga.

Single android phone me 2 whatsapp chalane ke liye niche bataye gaye sabhi steps ache se samajh kar follow kare.

Is method me aap ek hi phone par dono number se whatsapp ke alag alag account banakar use kar sakte hai

Step 1.
Sabse pahle apne mobile phone me
Google Play Stor par jakar Switch MeMultiple Account App download kar ke install kare.

Step 2.
Ab Switch Me Multiple Accounts ko open kare or isme 2 Alag Alag Whatsapp Account banaye.

Step 3.
1st account Administrator Account hoga. Isame aap apne phone ke sare

App's Or Data Access kar sakte hai.
Yeh Administrator Account aapke Smartphone me Download Whatsapp Account ka default access hoga or isme aap apne phone ke 1st sim ke Number ko Whatsapp ke liye Registered kare or verify kare.

Step 4.
Ab 2nd Whatsapp Account banane ke liye aapko whatsapp install phir se karke activate karna hoga. Iske liye SwitchMe Multiple Accounts open kare or dusara account salect kare.

Step 5.
Second account salect karne ke bad Whatsapp ko Install kare or apne 2nd sim ka no. ko Registered kar ke verify kare.
Ab aapka smartphone me 2 number se alag alag whatsapp account ban gaya hai. Aap use kar sakte hai.

Hamara app download kare yaha click karke




Is trick me apka phone Rooted hona jaruri hai tabhi ye kaam karegi. Agar apne phone root nahi kiya to Yaha click kare..... iski jankari malum kar sakte hai.

Step 1.
Sabse pahle apne mobie me Yaha se download kar ke install kare.
Step 2.

Ab 2Line for WhatsApp open kare, root permission puchne par Grant par click kare.
Step 3 .

Next step me apko mobile number add karna hai. Aap isme aur bhi number add karna chahte hai toh Add new line for whassapp par click karke kar sakte hai.
Step 4.

Ab mobile number verify hogi aur whatsapp account ban jayega.
Step 5 .

Aap is tarah se 2 ya 3 whatsapp account bana sakte hai. aap chahe to is method se aur bhi multiple whatsapp account bana sakte hai.

Is method se two whatsapp chalane ke liye apko apne android phone me
Yaha click karke ye app download install karna hoga ab 2 whatsapp chalane ka tarika step by step follow kare.

Step 1.
Sbase pahle apne phone me play store se Parallel Space-Multi Parallel Space Application install kare.

Step 2
App Open karke Start pe click kare.

Step 3
Ab kuch Apps ke name dikhai denge usme WhatsApp ke Icon par Click karenge.

Step 5.
Ab whatsapp ki tarah ek app open hoga usme jis number se Whatsapp account banana hai, usko register kare.

Step 6.
Number verify hone ke bad apka whatsapp account create ho jayega. Aise hi aap dusra whatsapp ka account bana sakte hai.


No comments: